Tuesday, September 29, 2009
Nahi Bhulegi O Raat...
aj ka din kuchh jayada hi tanav me bit raha hai..tanav to 2-3 dino se hai...lekin jis chiz ko lekar tanav hai o nahi sulajhne wala..jaan raha hun. fir v tanav hai...sawal to jisko dekho wahi kar raha hai..kuch khas ko khas jankari hai..lekin na o kisi se kah sakta/sakte...or nahi main...nind lagatar aa rahi hai. fir v jagne ki kosis me hu..kal raat der se lauta..der tak jaga raha. parson raat v kuchh aisa hi raha... lekin sabse jayada pareshan karne wali raat thi 26 sept ki raat. us raat india-pak ka match tha..itna tanav me raha (match ko lekar nhi) ki raat k 2.30 baj gaye pura match dekh gaya.. tanav me...3 baje nind ai..lekin 7 baje uthna pada ofic jane k liye... tanav ka jikra kisi se khul k nhi kar sakta tha... fir v jinse karna chahiye unse kiya..'bardasht' jo nhi ho raha tha.. karib 4 ghante sone k baad thkaan bahut jayada ho gai thi (log kahte hai ki main thakta nhi) lekin dube ji ne kaha tha baat jarur karna lihaja din bhar shift ki thakan k baad 'aas' me baitha raha ki shayd jb baat ho to koi baat bane...karte karte raat k 10 bajne ko aa gaye...sath me baithe logon k jane ka samay aa gaya...main baitha raha...mere dimag me us waqt sirf or sirf ek hi mamla tha...is bich mauka milne wala tha ki '....' Ek bachkana bayan publicly de diya....nhi deta to jyada behtar hota...(koi coment nhi karunga).. khair mauka mila.. kosis ki... kah diya...lekin unke dhyan me to tha hi nhi...kasssssss dhyan me hota.....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment